Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein

kahan se laenge aansu aza-dari ke mausam mein

bahut kuchh ro chuke hum to adakari ke mausam mein

utar aaunga main bhi zina-e-hasti se yun ek din

ki jaise rang-e-ruKH utre hai nadari ke mausam mein

tumhaare KHat kabhi paDhna kabhi tartib se rakhna

ajab mashghuliyat rahti hai bekari ke mausam mein

ba-juz mere zamane ki qaba rangin kar Dali

ye kya tafriq rakkhi us ne gul-kari ke mausam mein

sar-e-barg-e-tamanna marham-e-didar kah jaen

na aaen samne mere nigah-dari ke mausam mein

tulu-e-mehr se TuTegi un ki nind na-mumkin

jo KHwabida raha karte hain bedari ke mausam mein

taras khate hain kyun ahbab mere haal par 'aKHtar'

bahut be-chainiyan baDhti hain gham-KHwari ke mausam mein

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein In English By Famous Poet Akhtar Shahjahanpuri. Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein is written by Akhtar Shahjahanpuri. Read famous Poem Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein for youth and Student by Akhtar Shahjahanpuri. Free Download Kahan Se Laenge Aansu Aza-dari Ke Mausam Mein in PDF.