Jo Zehn-o-dil Ke Zahrile Bahut Hain
jo zehn-o-dil ke zahrile bahut hain
wahi baaton ke bhi miThe bahut hain
chalo ahl-e-junun ke sath ho len
yahan ahl-e-KHirad saste bahut hain
meri be-chehragi par hansne walo
tumhaare aaine dhundle bahut hain
zara yaadon ke hi patthar uchhaalo
nawah-e-jaan mein sannaTe bahut hain
teri baala-qadi badnam hogi
yahan ke baam-o-dar niche bahut hain
shajar be-saya hain suraj barahna
magar hum azm ke pakke bahut hain
karo ab fath ka elan 'aKHtar'
saron se surKH-ru neze bahut hain
(807) Peoples Rate This