Ek Umr BhaTakte Rahe Ghar Hi Nahin Aaya
ek umr bhaTakte rahe ghar hi nahin aaya
sahil ki tamanna thi nazar hi nahin aaya
raushan hain jahan sham-e-mohabbat ki qataren
wo kunj-e-kam-asar nazar hi nahin aaya
main jhuT ko sachchai ke paikar mein sajata
kya kijiye mujh ko ye hunar hi nahin aaya
wo gumbad-e-be-dar tha ki diwar-e-ana thi
manzar koi bahar ka nazar hi nahin aaya
ek aisa safar bhi mujhe darpesh tha logo
kuchh kaam jahan zad-e-safar hi nahin aaya
baiThe rahe palkon ko bichhae sar-e-rahe
wo jaan-e-jahan-gasht idhar hi nahin aaya
ek pal ko jahan baiTha hun thak kar kabhi 'aKHtar'
raste mein koi aisa shajar hi nahin aaya
(934) Peoples Rate This