Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_521a4745adbd21bf731b2bd7e7fcd60c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Se Arman Nikal Rahe Hain - Akhtar Saeed Poetry In English - Darsaal

Dil Se Arman Nikal Rahe Hain

dil se arman nikal rahe hain

mere bhi din badal rahe hain

warna ghar mein hai ghup andhera

yaadon ke charagh jal rahe hain

ye ajab log hain ki un ke

panw nahin pe chal rahe hain

hum dar-e-shah par sawali

aaj hain aur na kal rahe hain

wo hi pahunchenge yar tak jo

girte girte sambhal rahe hain

hum niko nam to hue par

dil pe aare se chal rahe hain

un ko aazad kar jo ab tak

zer-e-habs-e-alal rahe hain

un ko mahbus kar jo kab se

qaede sab kuchal rahe hain

kah na karb-o-bala ka qissa

lafzon ke dil dahal rahe hain

(2341) Peoples Rate This

Akhtar Saeed's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Se Arman Nikal Rahe Hain In English By Famous Poet Akhtar Saeed. Dil Se Arman Nikal Rahe Hain is written by Akhtar Saeed. Read famous Poem Dil Se Arman Nikal Rahe Hain for youth and Student by Akhtar Saeed. Free Download Dil Se Arman Nikal Rahe Hain in PDF.