Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai

teri jabin pe meri subh ka sitara hai

tera wajud meri zat ka ujala hai

harif-e-partaw-e-mahtab hai jamal tera

kuchh aur lagta hai dilkash jo dur hota hai

mere yaqin ki masumiyat ko mat Toko

meri nigah mein har naqsh ek tamasha hai

nazar to aae koi rah zindagani ki

tamam aalam-e-imkan ghubar-e-sahra hai

na aarzu se khula hai na justuju se khula

ye husn-e-raaz jo har shai mein kar-farma hai

gham-e-hayat raha hai hamara gahwara

ye hum se puchh dil-e-dard aashna kya hai

charagh le ke use DhunDne chala hun main

jo aaftab ki manind ek ujala hai

jo hum ko bhul gae un ko yaad kyun kije

tamam raat koi chupke chupke kahta hai

kahan kahan liye phirti hai zindagi ab tak

main us jagah hun jahan dhup hai na saya hai

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Teri Jabin Pe Meri Subh Ka Sitara Hai in PDF.