Sair-gah-e-duniya Ka Hasil-e-tamasha Kya
sair-gah-e-duniya ka hasil-e-tamasha kya
rang-o-nikhat-e-gul par apna tha ijara kya
khel hai mohabbat mein jaan o dil ka sauda kya
dekhiye dikhati hai ab ye zindagi kya kya
jab bhi ji umaD aaya ro liye ghaDi bhar ko
aansuon ki barish se mausamon ka rishta kya
kab sar-e-nazara tha hum ko bazm-e-alam ka
yun bhi dekh kar tum ko aur dekhna tha kya
dard be-dawa apna baKHt na-rasa apna
ai nigah-e-be-parwa tujh se hum ko shikwa kya
be-sawal aankhon se munh chhupa rahe ho kyun
meri chashm-e-hairan mein hai koi taqaza kya
haal hai na mazi hai waqt ka tasalsul hai
raat ka andhera kya subh ka ujala kya
jo hai ji mein kah dije un ke ru-ba-ru 'aKHtar'
arz-e-haal ki KHatir DhunDiye bahana kya
(814) Peoples Rate This