Nairangi-e-nashat-e-tamanna Ajib Hai
nairangi-e-nashat-e-tamanna ajib hai
kuchh sham se qafas mein ujala ajib hai
sharma rahe hain tar-e-gareban-e-chaak-e-dil
kuchh din se rang-e-lala-e-sahra ajib hai
har KHwab-e-e'tibar shikaston se chur hai
dil mein magar ghurur-e-tamanna ajib hai
sara badan hai dhup mein jhulsa hua magar
dil par jo paD raha hai wo saya ajib hai
phenke nahin hain aaj talak reza-ha-e-dil
TuTe talluqat ka rishta ajib hai
jab tak nazar na kijiye yak qatra KHun hai dil
lekin jo dekhiye to ye duniya ajib hai
'aKHtar' ye tere panw ke kanTe nae nahin
kanTon se khelta hua chhaala ajib hai
(845) Peoples Rate This