Maal-e-gardish-e-lail-o-nahaar Kuchh Bhi Nahin
maal-e-gardish-e-lail-o-nahaar kuchh bhi nahin
hazar naqsh hain aur aashkar kuchh bhi nahin
har ek moD pe duniya ko hum ne dekh liya
siwae kashmakash-e-rozgar kuchh bhi nahin
nishan-e-rah mile bhi yahan to kaise mile
siwae KHak-e-sar-e-rahguzar kuchh bhi nahin
bahut qarib rahi hai ye zindagi hum se
bahut aziz sahi e'tibar kuchh bhi nahin
na ban paDa ki gareban ke chaak si lete
shuur ho ki junun iKHtiyar kuchh bhi nahin
khile jo phul wo dast-e-KHizan ne chhin liye
nasib-e-daman-e-fasl-e-bahaar kuchh bhi nahin
zamana ishq ke maron ko mat kya dega
dilon ke khel mein ye jit haar kuchh bhi nahin
ye mera shahr hai main kaise man lun 'aKHtar'
na rasm-o-rah na wo ku-e-yar kuchh bhi nahin
(856) Peoples Rate This