Kaise Samjhaun Nasim-e-subh Tujhko Kya Hun Main
kaise samjhaun nasim-e-subh tujh ko kya hun main
phul ke sae mein murjhaya hua patta hun main
KHak ka zarra bhi koi tere daman mein na tha
qadr kar ai zindagi TuTa hua tara hun main
har dhaDakte dil se an-jaana sa rishta hai mera
aag daman mein kisi ke bhi lage jalta hun main
apni tariki sameTe puchhti hai mujh se raat
kaun si hai subh jis ko DhunDhne nikla hun main
mujh ko samjhae to koi raazdar-e-kaenat
mujh mein hai aabaad ye duniya ki KHud apna hun main
zindagi TuTe hue KHwabon mein guzri hai to kya!
aaj bhi ek KHwab aankhon mein liye baiTha hun main
samt-e-manzil hi badal jae to mera kya qusur
raston se puchh kar dekho kahin Thahra hun main
der tak hasrat se dekhegi use sham-e-safar
jis zamin par naqsh apne chhoD kar guzra hun main
chupke chupke raat bhar kahta hai 'aKHtar' mujh se dil
bastiyan aabaad hain mujh se magar sahra hun main
(773) Peoples Rate This