Kabhi Zaban Pe Na Aaya Ki Aarzu Kya Hai
kabhi zaban pe na aaya ki aarzu kya hai
gharib dil pe ajab hasraton ka saya hai
saba ne jagti aankhon ko chum chum liya
na jaane aaKHir-e-shab intizar kis ka hai
ye kis ki jalwagari kaenat hai meri
ki KHak ho ke bhi dil shola-e-tamanna hai
teri nazar ki bahaar-afriniyan taslim
magar ye dil mein jo kanTa sa ek khaTakta hai
jahan-e-fikr-o-nazar ki uDa rahi hai hansi
ye zindagi jo sar-e-rahguzar tamasha hai
ye dasht wo hai jahan rasta nahin milta
abhi se lauT chalo ghar abhi ujala hai
yahi raha hai bas ek dil ke gham-gusaron mein
Thahar Thahar ke jo aansu palak tak aata hai
Thahar gae ye kahan aa ke roz o shab 'aKHtar'
ki aaftab hai sar par magar andhera hai
(830) Peoples Rate This