Guzarna Hai Ji Se Guzar Jaiye

guzarna hai ji se guzar jaiye

liye dida-e-tar kidhar jaiye

khule dil se milta nahin ab koi

use bhulne kis ke ghar jaiye

subuk-rau hai mauj-e-gham-e-dil abhi

abhi waqt hai par utar jaiye

ulaT to diya parda-e-shab magar

nahin sujhta ab kidhar jaiye

ilaj-e-gham-e-dil na sahra na ghar

wahi hu ka aalam jidhar jaiye

isi moD par hum hue the juda

mile hain to dam bhar Thahar jaiye

kaThin hain bahut hijr ke marhale

taqaza hai hans kar guzar jaiye

ab us dar ki 'aKHtar' hawa aur hai

liye apne sham-o-sahar jaiye

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzarna Hai Ji Se Guzar Jaiye In English By Famous Poet Akhtar Saeed Khan. Guzarna Hai Ji Se Guzar Jaiye is written by Akhtar Saeed Khan. Read famous Poem Guzarna Hai Ji Se Guzar Jaiye for youth and Student by Akhtar Saeed Khan. Free Download Guzarna Hai Ji Se Guzar Jaiye in PDF.