Dil-e-shorida Ki Wahshat Nahin Dekhi Jati
dil-e-shorida ki wahshat nahin dekhi jati
roz ek sar pe qayamat nahin dekhi jati
ab un aankhon mein wo agli si nidamat bhi nahin
ab dil-e-zar ki haalat nahin dekhi jati
band kar de koi mazi ka daricha mujh par
ab is aaine mein surat nahin dekhi jati
aap ki ranjish-e-beja hi bahut hai mujh ko
dil pe har taza musibat nahin dekhi jati
tu kahani hi ke parde mein bhali lagti hai
zindagi teri haqiqat nahin dekhi jati
lafz us shoKH ka munh dekh ke rah jate hain
lab-e-izhaar ki hasrat nahin dekhi jati
dushman-e-jaan hi sahi sath to ek umr ka hai
dil se ab dard ki ruKHsat nahin dekhi jati
dekha jata hai yahan hausla-e-qata-e-safar
nafas-e-chand ki mohlat nahin dekhi jati
dekhiye jab bhi mizha par hai ek aansu 'aKHtar'
dida-e-tar ki rifaqat nahin dekhi jati
(1733) Peoples Rate This