Dil Ki Rahen DhunDne Jab Hum Chale
dil ki rahen DhunDne jab hum chale
hum se aage dida-e-pur-nam chale
tez jhonka bhi hai dil ko nagawar
tum se mas ho kar hawa kam kam chale
thi kabhi yun qadr-e-dil is bazm mein
jaise hathon-hath jam-e-jam chale
hae wo aariz aur us par chashm-e-nam
gul pe jaise qatra-e-shabnam chale
aamad-e-sailab ka waqfa tha wo
jis ko ye jaana ki aansu tham chale
kahte hain gardish mein hain sat aasman
az-sar-e-nau qissa-e-adam chale
khil hi jaegi kabhi dil ki kali
phul barsata hua mausam chale
be-sutun chhat ke tale is dhup mein
DhunDne kis ko ye mere gham chale
kaun jine ke liye marta rahe
lo sambhaalo apni duniya hum chale
kuchh to ho ahl-e-nazar ko pas-e-dard
kuchh to zikr-e-abru-e-gham chale
kuchh adhure KHwab aankhon mein liye
hum bhi 'aKHtar' darham o barham chale
(916) Peoples Rate This