Didani Hai ZaKHm-e-dil Aur Aap Se Parda Bhi Kya
didani hai zaKHm-e-dil aur aap se parda bhi kya
ek zara nazdik aa kar dekhiye aisa bhi kya
hum bhi na-waqif nahin aadab-e-mahfil se magar
chiKH uThen KHamoshiyan tak aisa sannaTa bhi kya
KHud hamin jab dast-e-qatil ko dua dete rahe
phir koi apni sitamgari pe sharmata bhi kya
jitne aaine the sab TuTe hue the samne
shishagar baaton se apni hum ko bahlata bhi kya
hum ne sari zindagi ek aarzu mein kaT di
farz kije kuchh nahin khoya magar paya bhi kya
be-mahaba tujh se aksar samna hota raha
zindagi tu ne mujhe dekha na ho aisa bhi kya
be-talab ek justuju si be-sabab ek intizar
umr-e-be-payan ka itna muKHtasar qissa bhi kya
ghair se bhi jab mila 'aKHtar' to hans kar hi mila
aadmi achchha ho lekin is qadar achchha bhi kya
(845) Peoples Rate This