Ek Kahani
pahaDon se ghiri wadi mein, patthar se bani ek chaar-diwari
aur is diwar ke andar kai kamre
hazaron sal ki viraniyan oDhe khaDe hain
inhi viran kamron mein se ek kamra
jahan tin aadmi ek chaarpai par
KHud apne-ap se bahar nikal kar is tarah baiThe hue hain
jaise apne aap mein the hi nahin
wo tin hain
bas tin
aur chautha mujassama hai
jo bahar istada hai
har ek shai par andhere
aur andhere par sisakti KHamushi ka KHauf tari hai
magar wo tinon raushan hain
mukammal taur par raushan
na un par KHauf ka saya
na koi huzn ki parchhain
wo baaten kar rahe hain
aur hawa sakit khaDi hai
gosh-bar-awaz
lekin un ki baaten be-sada hain
na-gahan un tin mein se ek ki nazren hawa ki samt uThti hain
to wo ghabra ke phir se chalne lagti hai
hawa chalte hi un ki guftugu aawaz mein tabdil hoti hai
aur us ki tez lahren sehn ki jaanib lapakti hain
to ek saya sa lahraata hai
saya dekh kar un tin mein se ek
mare KHauf ke apne badan ko oDh leta hai
dusre din subh jab KHurshid ki kirnon ne darwaze pe dastak di
to kamre mein wo do the
aur
bahar do mujassame
(849) Peoples Rate This