Wo Husn-e-sabz Jo Utra Nahin Hai Dali Par
wo husn-e-sabz jo utra nahin hai Dali par
farefta hai kisi phul chunne wali par
main hal chalate hue jis ko socha karta tha
usi ki gandumi rangat hai baali baali par
ye log sair ko nikle hain so bahut KHush hain
main dil-e-girafta hun sabze ki paemali par
ek aur rang mila aa ke sat rangon mein
shua-e-mahr paDi jab se teri baali par
main khul ke sans bhi leta nahin chaman mein 'raza'
mubaada bar guzarta ho sabz Dali par
(799) Peoples Rate This