Ghurur-e-pas-e-riwayat Badal Ke Rakh Dunga

ghurur-e-pas-e-riwayat badal ke rakh dunga

main raftagan ki shariat badal ke rakh dunga

gada-e-ilm hun nikla to phir qarine se

tumhaara tarz-e-tariqat badal ke rakh dunga

salah-e-dost sharafat se man le warna

main ye libas-e-sharafat badal ke rakh dunga

jo ahd-e-rafta se jaunga raftagan ki taraf

to phir sukun se wahshat badal ke rakh dunga

main is zamin se jis roz uTh gaya 'aKHtar'

to aasman ki haalat badal ke rakh dunga

(897) Peoples Rate This

Akhtar Raza Adeel's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghurur-e-pas-e-riwayat Badal Ke Rakh Dunga In English By Famous Poet Akhtar Raza Adeel. Ghurur-e-pas-e-riwayat Badal Ke Rakh Dunga is written by Akhtar Raza Adeel. Read famous Poem Ghurur-e-pas-e-riwayat Badal Ke Rakh Dunga for youth and Student by Akhtar Raza Adeel. Free Download Ghurur-e-pas-e-riwayat Badal Ke Rakh Dunga in PDF.