Tisri Pali

wo bhi ek achchha musawwir tha

pichhle balwe mein hi us ke

donon bazu kaT gae

aur us balwe mein us ki

donon aankhen bujh gain

nur-e-fitrat ki sabhi shaklen miTin

baDi mushkil se us andhe musawwir ko

ek kamra chaal mein hi mil gaya

aur paDosan ke wasile se jawan beTi ko bhi

kar-KHane mein sada ki tisri pali mili

ab wo man ki god mein raaton ko soti bhi nahin

mang afshan chuDiyon ki zid mein roti bhi nahin

(690) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tisri Pali In English By Famous Poet Akhtar Rahi. Tisri Pali is written by Akhtar Rahi. Read famous Poem Tisri Pali for youth and Student by Akhtar Rahi. Free Download Tisri Pali in PDF.