Ghor Andhera

KHun-chashida sadiyon ka wo ghor-andhera bikhar gaya

jang-o-jadal ka jazba jaga amn ka parcham utar gaya

nisf sadi Dhalne ko hai wo raat Dhale

phir bhi lahu ka biphra dariya jari hai

masumon ke nalon se

mazlumon ki aahon se

insanon ki chiKHon se

tharraate hain virane

sach kahta hai raat Dhali

raat Dhali ya KHun mein Dubi hawa chali

teri bani tu jaane

hum to Thahre diwane

koi mane ya na mane sau baaton ki baat hai ye

biti shab thi pal do pal ki ek sadi ki raat hai ye

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghor Andhera In English By Famous Poet Akhtar Rahi. Ghor Andhera is written by Akhtar Rahi. Read famous Poem Ghor Andhera for youth and Student by Akhtar Rahi. Free Download Ghor Andhera in PDF.