Parda-e-zangari
dekh in reshmi pardon ki hadon se bahar
dekh lohe ki salaKHon se pare
dekh saDkon pe ye aawara-mizajon ka hujum
dekh tahzib ke maron ka hujum
apni aankhon mein chhupae hue arman ki lash
qafile aate chale jate hain
zindagi ek hi mahwar ka sahaara le kar
nachte nachte thak jati hai
nachte nachte thak jati hai
tere pur-nur shabistan mein koi mast shabab
jis ki pazeb ki har lai mein hazaron lashen
chandni raat mein bite hue rumanon ki
apni har sans se bandhe hue paimanon ki
chiKHti chiKHti so jati hain
ye kashakash ye tasadum ye tazad
man leta hun ye fitrat ki fusun-kari hai
in usulon hi pe qaem hai tamaddun ka nizam
tu ye kahta hai to main bhi teri KHatir ai dost
man leta hun ye insan ki taKHliq nahin
koi mashuq hai us parda-e-zangari mein
tera mashuq mere ahd ka insan to nahin
teri tamhid meri nazm ka unwan to nahin
(720) Peoples Rate This