KHat-e-rah-guzar
silsile KHwab ke gumnam jaziron ki tarah
sina-e-ab pe hain raqs-kunan
kaun samjhe ki ye andesha-e-farda ki fusun-kari hai
mah o KHurshid ne phenke hain kai jal idhar
tirgi gesu-e-shab-tar ki zanjir liye
mere KHwabon ko jakaDne ke liye aai hai
ye tilism-e-sahr-o-sham bhala kya jaane
kitne dil KHun hain angusht hinai ke liye
kitne dil bujh gae jab ru-e-nigaran mein chamak aai hai
KHwab hain qaid-e-makan qaid-e-zaman se aage
kis ko mil sakta hai uDte hue lamhon ka suragh
kitni sadiyon ki masafat se ubharta hai
KHat-e-rah-guzar
(671) Peoples Rate This