Maqam-e-dil Bahut Uncha Bana Hai
maqam-e-dil bahut uncha bana hai
kamand-e-aql ab tak na-rasa hai
farogh-e-ishq se betab jalwe
harim-e-naz mein mahshar bapa hai
mizaj-e-husn mein ye dard-mandi
ba-faiz-e-ishq kya se kya hua hai
KHirad hai justuju-e-soz-e-atish
mohabbat aarzu-e-barmala hai
nawazish un ki muhtaj-e-mohabbat
meri kam-maegi ka aasra hai
chaman ki nikhat-afshani ka bais
ye mauj-e-gul hai ya mauj-e-saba hai
bhala kyun ho tujhe meri zarurat
ki tu sare zamane ka KHuda hai
(905) Peoples Rate This