Daru-e-hosh-ruba Nargis-e-bimar To Ho
daru-e-hosh-ruba nargis-e-bimar to ho
ab inan-gir-KHirad gesu-e-KHamdar to ho
husn ka naz-e-tajalli hai niyaz-amada
ishq-e-adab-e-tamanna ke saza-war to ho
jurat-e-shauq se pindar-e-karam jhuk ke mile
hausla-mand koi aisa gunahgar to ho
lala-kari se rag-e-jaan ke gulistan lahke
har-nafas ek lachakti hui talwar to ho
dil se wo jalwa-gah-e-naz to kuchh dur nahin
sina-e-shauq mein ek jazba-e-bedar to ho
nam-e-mahbub pe be-tab nazare honge
sajda-e-gah-e-dil-o-jaan kucha-e-dildar to ho
un hasin aankhon mein mai-KHana ki sham-e-rangin
jagmagaegi magar 'aKHtar'-e-sarshaar to ho
(835) Peoples Rate This