Ye Aane Wala Zamana Hamein Bataega
ye aane wala zamana hamein bataega
wo ghar banega apna ki ghar basaega
main sare shahr mein badnam hun KHabar hai mujhe
wo mere nam se kya faeda uThaega
phir us ke baad ujale KHaridne honge
zara si der mein suraj to Dub jaega
hai sair-gah ye kachchi munDer sanpon ki
yahan se kaise koi rasta banega
sunai deti nahin ghar ke shor mein dastak
main jaanta hun jo aaega lauT jaega
main soch bhi nahin sakta tha un uDanon mein
wo apne ganw ki miTTi ko bhul jaega
hazaron rog to pale hue ho tum 'nazmi'
bachane wala kahan tak tumhein bachaega
(995) Peoples Rate This