Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c79891997a95af257525b04baf394a88, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai - Akhtar Nazmi Poetry In English - Darsaal

KHayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai

KHayal usi ki taraf bar bar jata hai

mere safar ki thakan kaun utar jata hai

ye us ka apna tariqa hai dan karne ka

wo jis se shart lagata hai haar jata hai

ye khel meri samajh mein kabhi nahin aaya

main jit jata hun bazi wo mar jata hai

main apni nind dawaon se qarz leta hun

ye qarz KHwab mein koi utar jata hai

nasha bhi hota hai halka sa zahar mein shamil

wo jab bhi milta hai ek Dank mar jata hai

main sab ke waste karta hun kuchh na kuchh 'nazmi'

jahan jahan bhi mera iKHtiyar jata hai

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. KHayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem KHayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download KHayal Usi Ki Taraf Bar Bar Jata Hai in PDF.