Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a06d9367441c7397fb57b7ee4f7dd830, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Nahin LauT Ke Aane Wala - Akhtar Nazmi Poetry In English - Darsaal

Ab Nahin LauT Ke Aane Wala

ab nahin lauT ke aane wala

ghar khula chhoD ke jaane wala

ho gain kuchh idhar aisi baaten

ruk gaya roz ka aane wala

aks aaankhon se chura leta hai

ek taswir banane wala

lakh honTon pe hansi ho lekin

KHush nahin KHush nazar aane wala

zad mein tufan ki aaya kaise

pyas sahil pe bujhane wala

rah gaya hai mera saya ban kar

mujh ko KHatir mein na lane wala

ban gaya ham-safar aaKHir 'nazmi'

rasta kaT ke jaane wala

(1255) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Nahin LauT Ke Aane Wala In English By Famous Poet Akhtar Nazmi. Ab Nahin LauT Ke Aane Wala is written by Akhtar Nazmi. Read famous Poem Ab Nahin LauT Ke Aane Wala for youth and Student by Akhtar Nazmi. Free Download Ab Nahin LauT Ke Aane Wala in PDF.