Dil Hi Rah-e-talab Mein Na Khona PaDa Mujhe
dil hi rah-e-talab mein na khona paDa mujhe
hath apni zindagi se bhi dhona paDa mujhe
ek din mein hans paDa tha kisi ke KHayal mein
ta-umr itni baat pe rona paDa mujhe
ek bar un ko pane ki dil mein thi aarzu
sau bar apne aap ko khona paDa mujhe
barbaad ho gaya hun magar mutmain hai dil
sharminda-e-karam to na hona paDa mujhe
dekhi gai na mujh se jo tufan ki bebasi
kashti ko apni aap Dubona paDa mujhe
jalwe kahan kisi ke bisat-e-nazar kahan
zarre mein aaftab samona paDa mujhe
'aKHtar' junun-e-ishq ke maron ko dekh kar
ahl-e-KHirad hanse hain to rona paDa mujhe
(735) Peoples Rate This