Dariya Nazar Na Aae Na Sahra Dikhai De
dariya nazar na aae na sahra dikhai de
josh-e-junun ho jis ko use kya dikhai de
main aa gaya kahan ki ye hasrat nazar ko hai
ai kash is jagah koi apna dikhai de
KHandan-jabin labon pe hansi pur-KHulus dil
daur-e-tarab mein koi to aisa dikhai de
KHwahan hain wo ki sara zamana ho un ke sath
auron ko chahte hain ki tanha dikhai de
'aKHtar' ko dekhte nahin achchhi nazar se aap
phir bhi ye chahte hain ki achchha dikhai de
(902) Peoples Rate This