Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_464748503a73c1e5d3c0600ee928c24e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raunaq Hi Nahin Uski Hum Ruh-o-rawan Bhi Hain - Akhtar Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Raunaq Hi Nahin Uski Hum Ruh-o-rawan Bhi Hain

raunaq hi nahin us ki hum ruh-o-rawan bhi hain

lekin hamein duniya ki KHatir pe garan bhi hain

ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh

har gam hain taziren hum log jahan bhi hain

gulchin ko nahin shayad is raaz se aagahi

shabnam mein nahae gul shoalon ki zaban bhi hain

khate the qasam jin ke kirdar-o-amal ki hum

shamil saf-e-ada mein wo ham-nafasan bhi hain

sach kahte ho hum aise zarron ki haqiqat kya

ab kaun kahe tum se hum sang-e-giran bhi hain

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raunaq Hi Nahin Uski Hum Ruh-o-rawan Bhi Hain In English By Famous Poet Akhtar Lakhnvi. Raunaq Hi Nahin Uski Hum Ruh-o-rawan Bhi Hain is written by Akhtar Lakhnvi. Read famous Poem Raunaq Hi Nahin Uski Hum Ruh-o-rawan Bhi Hain for youth and Student by Akhtar Lakhnvi. Free Download Raunaq Hi Nahin Uski Hum Ruh-o-rawan Bhi Hain in PDF.