Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a537e038a6db600c2e6a8db62a7ff550, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kisi Ka Chehra Kisi Par Saja Nahin Deta - Akhtar Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Kisi Ka Chehra Kisi Par Saja Nahin Deta

kisi ka chehra kisi par saja nahin deta

kabhi fareb koi aaina nahin deta

hasad ka rang pasandida rang hai sab ka

yahan kisi ko koi ab dua nahin deta

ek e'timad tha baqi so uTh gaya wo bhi

ki bhai bhai ke ghar ka pata nahin deta

bujhae jab se hamare charag logon ne

koi daraKHt hamein ab hawa nahin deta

hamein KHuda pe bharosa hai na-KHuda pe nahin

KHuda jo deta hai wo na-KHuda nahin deta

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ka Chehra Kisi Par Saja Nahin Deta In English By Famous Poet Akhtar Lakhnvi. Kisi Ka Chehra Kisi Par Saja Nahin Deta is written by Akhtar Lakhnvi. Read famous Poem Kisi Ka Chehra Kisi Par Saja Nahin Deta for youth and Student by Akhtar Lakhnvi. Free Download Kisi Ka Chehra Kisi Par Saja Nahin Deta in PDF.