Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b07ba58be458d6e21846a7d76e02a0da, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dekho Usne Qadam Qadam Par Sath Diya Begane Ka - Akhtar Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Dekho Usne Qadam Qadam Par Sath Diya Begane Ka

dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka

'aKHtar' jis ne ahd kiya tha tum se sath nibhane ka

aaj hamare qadmon mein hai kahkashan shahr-e-mahtab

kal tak log kaha karte the KHwab use diwane ka

tere lab-o-ruKHsar ke qisse tere qad-o-gesu ki baat

saman hum bhi rakhte hain tanhai mein dil bahlane ka

tum bhi sunte to ro dete hum bhi kahte to rote

jaan ke hum ne chhoD diya hai ek hissa afsane ka

kuchh to hai jo apnaya hai hum ne ku-e-malamat ko

waise aur tariqa bhi tha 'aKHtar' dil bahlane ka

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekho Usne Qadam Qadam Par Sath Diya Begane Ka In English By Famous Poet Akhtar Lakhnvi. Dekho Usne Qadam Qadam Par Sath Diya Begane Ka is written by Akhtar Lakhnvi. Read famous Poem Dekho Usne Qadam Qadam Par Sath Diya Begane Ka for youth and Student by Akhtar Lakhnvi. Free Download Dekho Usne Qadam Qadam Par Sath Diya Begane Ka in PDF.