Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_97cf9b8912073d3abb7ffac3ce3c905a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Dard Ka Suraj Kabhi Dhalta Hi Nahin Hai - Akhtar Lakhnvi Poetry In English - Darsaal

Ab Dard Ka Suraj Kabhi Dhalta Hi Nahin Hai

ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai

ab dil koi pahlu ho sambhalta hi nahin hai

bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-did

ab baam pe wo chand nikalta hi nahin hai

ek umr se duniya ka hai bas ek hi aalam

ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai

nakaam raha un ki nigahon ka fusun bhi

is waqt to jadu koi chalta hi nahin hai

jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin

ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai

(1349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Dard Ka Suraj Kabhi Dhalta Hi Nahin Hai In English By Famous Poet Akhtar Lakhnvi. Ab Dard Ka Suraj Kabhi Dhalta Hi Nahin Hai is written by Akhtar Lakhnvi. Read famous Poem Ab Dard Ka Suraj Kabhi Dhalta Hi Nahin Hai for youth and Student by Akhtar Lakhnvi. Free Download Ab Dard Ka Suraj Kabhi Dhalta Hi Nahin Hai in PDF.