Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a4f4e5ef7f806edafb9919eb73670527, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo KHud To Mar Hi Gaya Tha Mujhe Bhi Mar Gaya - Akhtar Imam Rizvi Poetry In English - Darsaal

Wo KHud To Mar Hi Gaya Tha Mujhe Bhi Mar Gaya

wo KHud to mar hi gaya tha mujhe bhi mar gaya

wo apne rog meri ruh mein utar gaya

samundaron ki ye shorish usi ka matam hai

jo KHud to Dub gaya mauj ko ubhaar gaya

hawa ke zaKHm khule the udas chehre par

KHizan ke shahar se koTi to pur-bahaar gaya

andheri raat ki parchhaiyon mein Dub gaya

sahar ki khoj mein jo bhi ufuq ke par gaya

wo raushni ka musafir main tirgi ka dhuan

to phir bhala wo mujhe kis liye pukar gaya

mein apne soch ke ham-zad ka pujari tha

tera jalal meri aaqibat sanwar gaya

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo KHud To Mar Hi Gaya Tha Mujhe Bhi Mar Gaya In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Wo KHud To Mar Hi Gaya Tha Mujhe Bhi Mar Gaya is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Wo KHud To Mar Hi Gaya Tha Mujhe Bhi Mar Gaya for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Wo KHud To Mar Hi Gaya Tha Mujhe Bhi Mar Gaya in PDF.