Jo Sang Ho Ke Mulaem Hai Sadgi Ki Tarah

jo sang ho ke mulaem hai sadgi ki tarah

pighal raha hai mere dil mein chandni ki tarah

mujhe pukaro to diwar hun suno to sada

main gunjta hun fazaon mein KHamushi ki tarah

main us ko nur ka paikar kahun ki jaan-e-KHayal

jo mere dil pe utarta hai shairi ki tarah

kisi ki yaad ne mahka diya hai zaKHm-e-talab

saba ke hath se masli hui kali ki tarah

thaka hua hun kisi sae ki talash mein hun

bichhaD gaya hun sitaron se raushni ki tarah

main apne karb mein ghaltan wo apne kaif mein gum

hai is ki jit bhi meri shikast hi ki tarah

KHizan ke zahr ka tiryak agar nahin yaro

gulon ki baat hai be-waqt ragni ki tarah

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Sang Ho Ke Mulaem Hai Sadgi Ki Tarah In English By Famous Poet Akhtar Imam Rizvi. Jo Sang Ho Ke Mulaem Hai Sadgi Ki Tarah is written by Akhtar Imam Rizvi. Read famous Poem Jo Sang Ho Ke Mulaem Hai Sadgi Ki Tarah for youth and Student by Akhtar Imam Rizvi. Free Download Jo Sang Ho Ke Mulaem Hai Sadgi Ki Tarah in PDF.