Nazm
sham Dhale to
milon phaili KHushbu KHushbu ghas mein raste
aap bhaTakne lagte hain
zulf khule to mang ka sandal
shauq-e-talab mein
aap sulagne lagta hai
sham Dhale to
zulf khule to
lafzon in raston par jugnu ban kar uDna
rah dikhana
din nikle to
taza dhup ki chamkili poshak pahan kar
mere sath gali kuchon mein
lafzo manzil manzil chalna
hum duniya ko harf-o-sada ki raushan shaklen
phul se taza
ahd aur paiman dikhlaenge
diwaron se gulzaron tak tanhai ki
fasl ugi hai
din nikle to faiz-e-rifaqat
hum sab mein taqsim karenge
(1540) Peoples Rate This