School
ujli dhup hai
farsh-e-giyah par
ujli dhup mein farsh-e-giyah par raushan aur daraKHshan lamhon
ki shabnam hai
sabz daraKHton mein KHandan chehron ki chandi hai
sona hai
un lamhon se
un phulon se
sabz daraKHton ke patton se
juz-danon ki jeben bhar lo
kal jab suraj zist ki chhat par barf ki surat
jam jaega
kal jab raaten
rakh ki surat bujh jaengi
is indhan ke sukhe patte
aatish-dan ke kaam aaenge
(1233) Peoples Rate This