Visal
ajib wo sail tha ki jis ne
kanar-e-dariya ki sarhadon mein nae izafe kiye hain taza zamin
aabaad kar gaya hai
ajib wo dhup thi jo pesh-az-sahar ki saat ke ghar mein utri
to jaise soe hue labon par
nishan-e-ulfat laga gai hai
ajib lamha tha jis ne sar par chamakte suraj ke garm raste pe
pa-barahna safar kiya hai
wo dhup tere jamal ki thi
wo sail mere KHayal ka tha
wo lamha tere visal ka tha
(892) Peoples Rate This