Tark-e-wada Ki Tark-e-KHwab Tha Wo
tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
kaam sab ho chuka jo karna tha
bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise
subh tak, aansuon se bharna tha
wo suKHan us ke muddaa mein nahin
mujh ko jis baat se mukarna tha
koi taqsim-e-kar-e-mahr-o-nujum
ya hisab-e-shab-e-nuzul koi
dasht-e-la-hasili ki mahdudat
shahr-e-maharam ka arz o tul koi
kuchh nahin darmiyan jaza na saza
sang, dushnam, dagh, phul koi
us taraf ab ruKH-e-talluq hai
jahan sud-o-ziyan-e-zat nahin
Dar nahin nind TuT jaane ka
pas-e-wada ki ehtiyat nahin
mujh ko jis baat se mukarna tha
us ke dawe mein ab wo baat nahin
bhar chuka jam-e-shart-e-wasl jise
subh tak, aansuon se bharna tha
tark-e-wada ki tark-e-KHwab tha wo
kaam sab ho chuka jo karna tha
(867) Peoples Rate This