Main Ghair-mahfuz Raat Se Darta Hun
raat ke farsh par
maut ki aahaTen
phir koi dar khula
kaun is ghar ke pahre pe mamur tha
kis ke baalon ki laT
kis ke kanon ke dur
kis ke hathon ka zar, surKH dahliz par qasidon ko mila?
koi pahre pe ho to gawahi mile
ye shikasta shajar
ye shikasta shajar jis ke panw mein KHud apne sae ki mauhum zanjir hai
ye shikasta shajar to muhafiz nahin
ye shikasta shajar to sipahi nahin
shab se Darta hun main
ek taswir-e-be-rang hai samne jis se Darta hun main
ek surat ki jis ke KHad-o-KHal ki meri subh-e-hunar
se shanasai hai
us se Darta hun main
ek shoala ki ab tak KHas-e-jaan mein tha, us ka sarkash sharar
kaghazon mein, makanon mein, baghon mein hai
us ki manus hiddat se Darta hun main
ek aawaz kohsar-e-tafriq par jo saf-ara hain wo apne bhai nahin
is sada ru-ba-sahra se Darta hun main
shab se Darta hun main
(925) Peoples Rate This