Zamin Par Hi Rahe Aasman Ke Hote Hue
zamin par hi rahe aasman ke hote hue
kahin na ghar se gae karwan ke hote hue
main kis ka nam na lun aur nam lun kis ka
hazaron phul khile the KHizan ke hote hue
badan ki jaise hawaon ki zad mein koi charagh
ye apna haal tha ek mehrban ke hote hue
hamein KHabar hai koi ham-safar na tha phir bhi
yaqin ki manzilen tai kin guman ke hote hue
wo be-niyaz hain hum mustaqil kahin na ruke
kisi ke naqsh-e-qadam aastan ke hote hue
har ek raKHt-e-safar ko uThae phirta tha
koi makin na kahin tha makan ke hote hue
ye saneha bhi mere aansuon pe guzra hai
nigah bolti thi tarjuman ke hote hue
hidayaton ka hai mohtaj nama-bar ki tarah
faqih-e-shahr tilism-e-bayan ke hote hue
ajib nur se rishta tha nur ka aKHtar
kai charagh jale kahkashan ke hote hue
(1720) Peoples Rate This