Yak-ba-yak Mausam Ki Tabdili Qayamat Dha Gai
yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai
ruk ke sustana tha jab mujh ko kaDi dhup aa gai
din Dhale kis ko hai tajdid-e-safar ka hausla
aati jati rahguzar nahaq mujhe bahka gai
bu-e-gul mauj-e-hawa hai aur hawa kyunkar ruke
ab ke miTTi hi ki KHushbu mera ghar mahka gai
wo hawaen hain uDe jate hain pairahan yahan
ai urus-e-zist tu kyun ghar se bahar aa gai
ye hawa aai kahan se is se main waqif na tha
mere ghar mein jo charaghon ka dhuan phaila gai
wo ghaTa phir is taraf se lauT kar guzri nahin
sukhi dharti ko jo dariya ka pata batla gai
zindagi marg-e-talab tark-e-talab 'aKHtar' na thi
phir bhi apne tane-bane mein mujhe uljha gai
(798) Peoples Rate This