Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b4696c0e912de5d8b335f5aa5818aa2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Rang-e-tamanna Hai Ki Sad-rang Hua Hun - Akhtar Hoshiyarpuri Poetry In English - Darsaal

Wo Rang-e-tamanna Hai Ki Sad-rang Hua Hun

wo rang-e-tamanna hai ki sad-rang hua hun

dekho to nazar hun jo na dekho to sada hun

ya itna subuk tha ki hawa le uDi mujh ko

ya itna giran hun ki sar-e-rah paDa hun

chehre pe ujala tha gareban mein sahar thi

wo shaKHs ajab tha jise raste mein mila hun

kab dhup chali sham Dhali kis ko KHabar hai

ek umr se main apne hi sae mein khaDa hun

jab aandhiyan aai hain to main nikla na ghar se

patton ke taaqub mein magar dauD paDa hun

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Rang-e-tamanna Hai Ki Sad-rang Hua Hun In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Wo Rang-e-tamanna Hai Ki Sad-rang Hua Hun is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Wo Rang-e-tamanna Hai Ki Sad-rang Hua Hun for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Wo Rang-e-tamanna Hai Ki Sad-rang Hua Hun in PDF.