Wo Jo Diwar-e-ashnai Thi
wo jo diwar-e-ashnai thi
apni hi zat ki ikai thi
main sar-e-dasht-e-jaan tha aawara
aur ghar mein bahaar aai thi
maile kapDon ka apna rang bhi tha
phir bhi qismat mein jag-hansai thi
ab to aankhon mein apna chehra hai
kabhi shishe se aashnai thi
apni hi zat mein tha main mahfuz
aur phir KHud hi se laDai thi
apni aawaz se bhi Darta tha
hae kya chiz aashnai thi
zindagi gard gard thi 'aKHtar'
jaane luT kar kahan se aai thi
(752) Peoples Rate This