Tufan Se Qarya Qarya Ek Hue
tufan se qarya qarya ek hue
phir ret se chehra chehra ek hue
chand ubharte hi ujli kirnon se
upar ka kamra kamra ek hue
almari mein taswiren rakhta hun
ab bachpan aur buDhapa ek hue
us ki gali ke moD se guzre kya the
sab rahi rasta rasta ek hue
diwar giri to andar samne tha
darwaza aur daricha ek hue
jab wo paudon ko pani deta tha
pas-manzar aur nazara ek hue
kal aankh-micholi ke khel mein 'aKHtar'
main aur peDon ka saya ek hue
(756) Peoples Rate This