Tilism-e-gumbad-e-be-dar Kisi Pe Wa Na Hua
tilism-e-gumbad-e-be-dar kisi pe wa na hua
sharar to lapka magar shola-e-sada na hua
hamein zamane ne kya kya na aaine dikhlae
magar wo aks jo aaina-ashna na hua
bayaz-e-jaan mein sabhi sher KHub-surat the
kisi bhi misra-e-rangin ka hashiya na hua
na jaane log Thaharte hain waqt-e-sham kahan
hamein to ghar mein bhi rukne ka hausla na hua
wo shahr aaj bhi mere lahu mein shamil hai
wo jis se tark-e-talluq ko ek zamana hua
yahi nahin ki sar-e-shab qayamaten TuTin
sahar ke waqt bhi in bastiyon mein kya na hua
main dasht-e-jaan mein bhaTak kar Thahar gaya 'aKHtar'
phir is ke baad mera koi rasta na hua
(728) Peoples Rate This