Shikari Raat Bhar BaiThe Rahe Unchi Machanon Par
shikari raat bhar baiThe rahe unchi machanon par
musafir phir bhi lauT aane ko ja pahunche Thikanon par
kisi ne jhank kar dekha na bahar hi koi aaya
hawa ne umr bhar kya kya na dastak di makanon par
KHud apna aks-e-ruKH hai jo kisi ko rok le baDh kar
wagarna aadmi kab mustaqil Thahra chaTanon par
uThae aasman ke dukh bhi kis mein itni himmat hai
zamin hi ek bhaari hai hamein to apni jaanon par
darichon ne ye manzar aaj pahli bar dekha hai
ki tum jaane kahan the aur suraj tha makanon par
gharon se jab nikal aae to sab ne rah li apni
magar duniya ki nazren hain parindon ki uDanon par
hawa yun hi to hum ko le ke peDon tak nahin aai
hamara nam tha likkha hua gandum ke danon par
ye mana aandhiyon ka haq hai sab par yurishen karna
magar ye main ki meri aankh hai KHasta makanon par
kuchh itne ho gae manus sannaTon se hum 'aKHtar'
guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par
(751) Peoples Rate This