Shayan-e-zindagi Na The Hum Moatabar Na The
shayan-e-zindagi na the hum mo'atabar na the
han kam-nazar the itne magar kam-nazar na the
ab ke baras jo phul khila kaghzi hi tha
ab ke to dur dur kahin barg-e-tar na the
har phul ek zaKHm tha har shaKH ek lash
goya ki rah mein thin saliben shajar na the
baadal uThe to ret ke zarre baras paDe
hum ko bhigo gae hain wo daman jo tar na the
kahte the ek ju-e-rawan hai chaman chaman
dekha to bastiyon ke kinare bhi tar na the
Takra ke sar ko apna lahu aap chaTte
achchha hua ki dasht mein diwar-o-dar na the
dariya ka sina chir ke ubhre jo sath par
daman mein sang-reze the 'aKHtar' guhar na the
(703) Peoples Rate This