Sham Tanhai Dhuan UThta Barabar Dekhte
sham tanhai dhuan uThta barabar dekhte
phir sar-e-shab chand ubharne ka bhi manzar dekhte
jumbish-e-lab mein meri aawaz ki taswir hai
kash wo bhi bolte lafzon ke paikar dekhte
sahilon par sipiyan thin aur hawa ka shor tha
paniyon mein Dubte to koi gauhar dekhte
khiDkiyon ki oT se andaza ho sakta nahin
shahr ka ahwal tum ghar se nikal kar dekhte
aane walon ke liye darwaze rahte hain khule
jaane wale bhi kabhi muD kar su-e-dar dekhte
barishon mein bhigna jismon ka ujla bankpan
raston ki gard bhi ye log sar par dekhte
wo jinhen dastar ki hasrat rahi hai umr bhar
mere shanon par kabhi 'aKHtar' mera sar dekhte
(674) Peoples Rate This