Qarya-e-jaan Se Guzar Kar Humne Ye Dekha Bhi Hai
qarya-e-jaan se guzar kar hum ne ye dekha bhi hai
jis jagah unchi chaTanen hain wahan dariya bhi hai
dard ka chaDhta samundar jism ka kachcha makan
aur un ke darmiyan aawaz ka sahra bhi hai
ruh ki gahrai mein pata hun peshani ke zaKHm
sirf chaha hi nahin main ne use puja bhi hai
raat ki parchhaiyan bhi ghar ke andar band hain
sham ki dahliz par suraj ka naqsh-e-pa bhi hai
chand ki kirnen KHarashen hain dar-o-diwar par
aur dar-o-diwar ke pahlu mein ek saya bhi hai
ghar ka darwaza muqaffal hai agar dekhe koi
andar ek kohram hai jaise koi rahta bhi hai
jab main 'aKHtar' pattharon ko aaina dikhla chuka
main ne dekha aainon ke hath mein tesha bhi hai
(700) Peoples Rate This