Pahle To Soch Ke DozaKH Mein Jalata Hai Mujhe

pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe

phir wo shishe mein mera chehra dikhata hai mujhe

shayad apna hi taaqub hai mujhe sadiyon se

shayad apna hi tasawwur liye jata hai mujhe

bahar aawazon ka ek mela laga hai dekho

koi andar se magar toDta jata hai mujhe

yahi lamha hai ki main gir ke shikasta ho jaun

surat-e-shisha wo hathon mein uThata hai mujhe

jism minjumla-e-ashob-e-qayamat Thahra

dekhun kaun aa ke qayamat se bachata hai mujhe

zalzala aaya to diwaron mein dab jaunga

log bhi kahte hain ye ghar bhi Daraata hai mujhe

kitna zalim hai meri zat ka paikar 'aKHtar'

apni hi sans ki suli pe chaDhata hai mujhe

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle To Soch Ke DozaKH Mein Jalata Hai Mujhe In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Pahle To Soch Ke DozaKH Mein Jalata Hai Mujhe is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Pahle To Soch Ke DozaKH Mein Jalata Hai Mujhe for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Pahle To Soch Ke DozaKH Mein Jalata Hai Mujhe in PDF.